Friday, March 28, 2008

Pavitra Pyar Mera Tumhara, Ye duniya kyu na.......

Radha Kisan sa pyaar hamaara,
Vese hai naam hamara,
Jesa pavan tha pyar unka,
Vesa pavitra pyaar hamaara,
Ye pagli duniya ye kyo na jane.

Jese Radha Kisanji,
Na kabhi mile nahin kabhi bichde,
Vesa hai pyar humara,
Ye sunheri duniya ye kyo na mane.


Radha Kisan sa pyaar hamaara,


Duniya jane radha kisan ko
Na jane koi rukmani kisan ko( rukmani kisanji’s ardhangini)
Nahin banu me rukmani gam nahin,
Mein to ban jau radha aapki
Ye bholi duniya ye kyo na mane

Jesa pavan tha pyar unka,
Vesa pavitra pyaar hamaara,
Radha Kisan sa pyaar hamaara,
Vesa hai kuch naam hamara




Radha ka naam pehle kisan se
“ RADHA KISAN”
radha ko pyar kitna he kisanji se,
ye kisan badmein samje aur jane
Isliye kisanji ka naam duniya
Badme pukare,
Vesa hi hamara naam
“………”

Aaesa karishma dobahra hua dharti pe
phir seh janam liya he radha kisan ne
duniya ye kyo na dekh paye.

3 comments:

KAUTILYA said...

bahut badhiya poem h ...mai aapke poem ka divana ho gay hu.

KAUTILYA said...

mujhe vishvas nahi hota ki ye aapne likha h ......mgr vishvas krna parta h....vakae bahut badhiya h

Shilviya said...

Kautilya ji....

mein koshish karti rahungi ke meri aane wali haar kavitayein sabke dil mein aaise hi baasti rahein...

Aap ka khub khub dhaniyawaad